JOB NAHI MILRARHI TO KYA KAREN / JOB SE PAHLE JOB KE BAAD KYA KAREN / JOB KAISE DHUNDE / JOB KAISE PATA KAREN / INTERVIEW KAISE DEN 2024
Abhi jo situation hai isme bahut sare log berozgar hain kai logon ne apni job khodi hai aur kai business band hogaye hain jiski wajha se log pareshan hain,
Berozagari ne logon ko depression me daldiya hai jab kisi ko job se nikal diya jata to aise shages ko 2 tension hoti hia ek job se nikal dene ki tension aur dusri job dhone ki tension aiese logon ko himmat se kam lena hai
Aaj ke duar me ek achi jab ka milna mushkil hai lekin na mumkin nahi hai
Agar apki bhi job chaligayi hai aru job dhondrahe hain ya job karrahe hain to post last tak padhen isme aap janenge ke job milne se pahle aur job milne ke baad kya karna hai.
JOB MILNE SE PAHLE –
(a) Interview Preparation :- Har job keliye interview dena padta hai bahut hi kam hote hain jinka direct selection hota hai lekin maximum interview dena hi padta hai isliye interview ki tayyari karte rahen.
Interview me zyada tar 2 sawal bahut puche jate hain ek tell me abut yourself ? Dusra Why you want to join this organization or Comapany ? aise hi aur questions sonchen aur uske answers likh kar tayar karlen take interview me asani se jawab desako.
Job interview keliye script tayar hojae to uski practice karte rahen, apne bhai ya dost ko interview lene keliye kahen aisa karte rahne se confidence badhega.
Job interview keliye kabhi bhi call asakta hai isliye pahle se hi apna CV documents, dress aur shoes pahen kar dekhlen ke isme aap comfortable lagte hain kya nahi.
Interview se related articles aur books padhte rahen.
Jis company ya organization me aap interview dene jarahe hain us company ke bare me maloom karlen kyuke aksar interview me is bare me bhi sawal puchte hain.
(b) Stay Healthy:- Apko mentally aur physically dono tarha se healthy and fit rahna hai.
Aap hamesha khudko ye yakeen dilaye ke apkeliye bahut se naye aur ache mauqe hain aur new job apka intezar karrahi hai bas dair hai to usko talash karne ki
Daily 30 min tak exercise karte rahen isse apka mind bhi acha rahega aur aap physically fit and fine rahenge.
(c) Job Search:- Aaj ke daur me ek achi job ka milna mushkil hai lekin na mumkin nahi job ki talash keliye time set karlen, isi time me job search Karen job dhondne keliye har tariqa istemal Karen jaise internet par search Karen news papers me dekhen, aur friends aur relatives ke contact me malum Karen,city me job consultancy waluan se contact karke malum Karte rahen,
JOB MILNE KE BAAD –
(a) Never Stop Learning :- Bahut sare log kya karte hain ke job milne ke baad sikhna band kardete hain, jo ke achi baat nahi hia. Sikhna kabhi bhi band na Karen. Agar Aap Apne Skills ko improve karte rahen, apni job se related future me kaunsi skills ki zarorat pad sakti hai unko sikhte rahen.
Abhi apki jo job hai agle 5,10 saal me isme kya changes anewale hain iskeliye kaunsi skills ki zarorat padegi uspar kam Karen usko abhise sikhna shru Karen.
(b) Do Side Business:- Apni salary se 10% saving Karen aur jab amount zyada jama hojaye to ek chota sa business karen jo ke aap apni job se ane ke baad karsakte ho ye business karna isliye zarori hai kyuke suddenly boss apko nikaal de ya phir kisi aur wajah se job chali gayi to ye business help karega. Isse pata chalta hai ke apko job karte hoye second source of income generate karna hai.
(c) Be Honest:- Jab apko job miljaye to imandari aur khusi se kaam Karen, jab kabhi apko koi kaam diya jaye to usko ache se pura Karen apne colleagues ke sath ache se pesh aye . Company ke jo bhi rules and regulations hain unko ache se follow Karen.
Is post se related kuch kahna chahte hain to wo aap comment karke bata sakte hain. Thankyou!
0 Comments